Meer Asar

be-kasi mein asar yagana hai

Meer Asar

Delhi, India

-1795
be-kasī meñ asar yagāna hai
dil bhī us kā nahīñ begāna hai
ġharaz ā.īna-dārī-e-dil se
terā jalva tujhe dikhānā hai
misl-e-naqsh-e-qadam meñ jab ta.iiñ huuñ
āñkheñ haiñ aur ye āstānā hai
yahī tār-e-nafas kī āmad-o-shud
jāma-e-tan kā tānā-bānā hai
gale milnā na go ki haath lage
lek manzūr dil milānā hai
naam anqā nishān tere kā
juuñ nagīñ dil meñ āshiyānā hai
dost dushman sabhī hue haiñ tere
kyā burā.ī kā ab zamānā hai
dil-e-gum-gashta ko maiñ DhūñDūñ kahāñ
na kahīñ Thor ne Thikānā hai
hai dīvāna ba-kār-e-ḳhud hoshyār
ye na samho 'asar' dīvānā hai
Top Urdushayar.com