ham ġhalat ehtimāl rakhte the
tujh se kyā kyā ḳhayāl rakhte the
na sunā tū ne kyā kaheñ zālim
varna ham arz-e-hāl rakhte the
na rahā intizār bhī ai yaas
ham umīd-e-visāl rakhte the
jauhar-e-ā.īna niiñ dikhlāyā
sāda-rū jo kamāl rakhte the
na sunā thā kisū ne ye to ġhurūr
sabhī dilbar jamāl rakhte the
aah vo din ga.e ki ham bhī 'asar'
dil ko apne sambhāl rakhte the