Meer Asar

kahun kya dil uDane ka tera kuchh Dhab nirala tha

Meer Asar

Delhi, India

-1795
kahūñ kyā dil uḌāne kā tirā kuchh Dhab nirālā thā
vagarna har tarah se ab talak to maiñ sambhālā thā
kahāñ ab khul ke vo ronā kidhar vo ashk kī shorish
kabhū kuchh phuuT bahtā hai jigar par vo jo chhālā thā
huā āvāra-e-dasht-o-bayābāñ dekhte apne
vo tifl-e-ashk jo ulfat se āñkhoñ biich paalā thā
tirā ġham khā gayā merā kaleja dil sabhī yak baar
huā hogā kahāñ se ser ye to ik nivāla thā
abhī to lag na chalnā thā 'asar' us gul-badan ke saath
koī din dekhnā thā zaḳhm-e-dil be-tarah aalā thā
Top Urdushayar.com