Meer Asar

main tujhe wah kya tamasha hai

Meer Asar

Delhi, India

-1795
maiñ tujhe vaah kyā tamāshā hai
zehn meñ āshnā tarāshā hai
haath meñ rakhiyo tū sambhāle hue
dil to merā ye sīshā-bāshā hai
tū jo tole hai mere man kī chaah
kuchh tire haañ bhī tolā-māsha hai
kyā kahūñ terī kāvish-e-mizha ne
kis tarah se jigar ḳharāshā hai
ḳhair guzre 'asar' tū hai bebāk
aur vo shoḳh be-tahāshā hai
Top Urdushayar.com