garche dil meñ hī sadā jān-e-jahāñ rahte ho
par ba-zāhir nahīñ ma.alūm kahāñ rahte ho
shukr-lillāh ki abhī kaam tumheñ baaqī hai
le chuke dil to vale darpa-e-jāñ rahte ho
aa nikalte ho kidhar bhuul ke be-ḳhvāhish-e-dil
ab bhī jaao vahīñ har roz jahāñ rahte ho
ai ḳhush-abrū koī phir Dhab pe chaḌhā taaza shikār
yuuñ jo har vaqt liye tīr-o-kamāñ rahte ho
gar kabhī aa.e 'asar' paas hue vohīñ udaas
ḳhush shab-o-roz paḌe auroñ ke haañ rahte ho