ḳhafā us se kyuuñ tū mirī jaan hai
'asar' to koī dam kā mehmān hai
tere ahd meñ saḳht andher hai
ki ishq o havas har do yaksān hai
kahūñ kyā ḳhudā jāntā hai sanam
mohabbat tirī apnā īmān hai
dil-o-ġham meñ aur sīna-o-dāġh meñ
rifāqat kā yaañ ahd-o-paimān hai
tujhe bhī kabhū kuchh mirā hai ḳhayāl
mujhe marte marte tirā dhyān hai
na dekhā phir āḳhir ki mushkil paḌī
udhar dekhnā aisā āsān hai
qayāmat yahī hai ki abrū kamāñ
tujhe jin ne dekhā so qurbān hai
guloñ kī tarah chaak kā ai bahār
muhayyā har ik yaañ garebān hai
bhalā diid kar lījiye muft hai
ki ab tak sitamgar vo anjān hai
mujhe qatl karte to uuneñ kyā
par apne kiye par pashemān hai
nahīñ hai ye qātil taġhāful kā vaqt
ḳhabar le ki baaqī abhī jaan hai
ta.ammul kahāñ varna chuuñ ġhuncha yaañ
jo sar hai so ġharq-e-garebān hai
ye kyā ho gayā dekhte dekhte
'asar' maiñ to maiñ vo bhī hairān hai