Meer Asar

tere wadon ka etibar kise

Meer Asar

Delhi, India

-1795
tere va.adoñ kā e'tibār kise
go ki ho tāb-e-intizār kise
ik nazar bhī hai dīd-e-muft-nazar
itnī fursat bhī ai sharār kise
juuñ nagīñ yaañ sivā.e rū-siyahī
dahr kartā hai nām-dār kise
dil to Duubā ab aur dekheñ Dubā.eñ
ye mirī chashm-e-ashk-bār kise
tere va.adoñ ko maiñ samajhtā huuñ
dhokā detā hai mere yaar kise
tū baġhal se gayā thā dil bhī gayā
aur le baiThūñ darkinār kise
maiñ to kyā aur bhī sivā.e sabā
tere kūche talak guzār kise
dekhtā hī nahīñ vo mast-e-nāz
aur dikhlā.ūñ hāl-e-zār kise
ḳhuub dekhe 'asar' ne qaul-o-qarār
ab tire qaul par qarār kise
Top Urdushayar.com