'asar' kījiye kyā kidhar jā.iye
magar aap hī se guzar jā.iye
kabhū dostī hai kabhū dushmanī
tirī kaun sī baat par jā.iye
mirā dil mire haath se lījiye aur
sitam hai mujhī se mukar jā.iye
kai roz kī zindagānī hai yaañ
bane jis tarah ziist kar jā.iye
'asar' in sulūkoñ pe kyā lutf hai
phir us be-muravvat ke ghar jā.iye