kisū ko mujh se ne mujh ko kisū se kaam rahtā hai
mire dil meñ sivā tere ḳhudā kā naam rahtā hai
kuchh in rozoñ dil apnā saḳht be-ārām rahtā hai
isī hālat meñ le kar sub.h se tā-shām rahtā hai
kaleja pak gayā hai kyā kahūñ is dil ke hāthoñ se
hamesha kuchh na kuchh is meñ ḳhayāl-e-ḳhām rahtā hai
bayāñ maiñ kyā karūñ us se ab aage apnī nākāmī
tire ye taur aur mujh ko tujhī se kaam rahtā hai
balā jaane 'asar' daurāñ ye kīdhar charḳh maare hai
hamārī bazm meñ din raat daur-e-jām rahtā hai