ek tanhā ḳhātir-e-mahzūñ jise afkār sau
ek mujh bīmār se vābasta haiñ āzār sau
hai ta.ajjub nok-e-mizhgāñ se jo ḳhūñ-ālūda huuñ
ḳhūñ-girafta ek dil aur ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhvār sau
mū-ba-mū kyūñ-kar na ho mujh ko giraftārī-e-zulf
kāfir-e-ishq-e-butāñ maiñ ek aur zunnār sau
dū-ba-dū kab ho sakeñ us ke 'asar' hai aañkh naar
kyā huaa, haiñ dekhne kahne ko gar aġhyār sau