Meer Asar

asar ab tak fareb khata hai

Meer Asar

Delhi, India

-1795
'asar' ab tak fareb khātā hai
terī bātoñ ko maan jaatā hai
dil kaḌā kar ke tujh se kuchh to kahūñ
jī meñ sau baar ye hī aatā hai
ḳhush guzartī nahīñ hai koī aan
ishtiyāq ab nipaT satātā hai
dil ko va.ade se kal nahīñ hotī
roz tū āj-kal batātā hai
but-e-kāfir kī be-muravvatiyāñ
ye hameñ sab ḳhudā dikhātā hai
dil mirā tū ne hī churāyā hai
nahīñ yuuñ nazreñ kyuuñ churātā hai
maiñ bhī nāseh use samajhtā huuñ
go burā hai pa mujh ko bhātā hai
tere dar par maiñ kab kab aatā huuñ
dil mujhe baar baar laatā hai
nāla-o-āh ko mire sun kar
kahte ho yaañ kise sunātā hai
roz-o-shab kis tarah basar maiñ karūñ
ġham tirā ab to jī hī khātā hai
dil-e-nā-qadr-dāñ ye gauhar-e-ashk
nit yūñhī ḳhaak meñ milātā hai
jī hī jaatā hai dam-ba-dam merā
tujh ko bāvar nahīñ ye aatā hai
sham.a-rū dil ye misl-e-parvāna
nāhaq apne ta.iiñ jalātā hai
terī in sho.ala-ḳhūyoñ ke huzūr
be-tarah tujh pe jī jalātā hai
kyā karūñ aah maiñ 'asar' kā ilaaj
is ghaḌī us kā jī hī jaatā hai
Top Urdushayar.com