tū mirī jaan gar nahīñ aatī
ziist hotī nazar nahīñ aatī
dilrubā.ī o dilbarī tujh ko
go ki aatī hai par nahīñ aatī
hāl-e-dil misl-e-sham.a raushan hai
go mujhe baat kar nahīñ aatī
har dam aatī hai garche aah par aah
par koī kārgar nahīñ aatī
kyā kahūñ aah maiñ kisū ke huzūr
niiñd kis baat par nahīñ aatī
nahīñ ma.alūm dil pe kyā guzrī
in dinoñ kuchh ḳhabar nahīñ aatī
kiije nā-mehrbānī hī aa kar
mehrbānī agar nahīñ aatī
din kaTā jis tarah kaTā lekin
raat kaTtī nazar nahīñ aatī
zāhiran kuchh sivā.e mehr-o-vafā
baat tujh ko 'asar' nahīñ aatī