Meer Asar

zist honi tajjubaat hai ab

Meer Asar

Delhi, India

-1795
ziist honī ta.ajjubāt hai ab
mar hī jaanā bas ek baat hai ab
daur meñ tere hai vo kuchh andher
nahīñ ma.alūm din hai raat hai ab
dil hai zinda na jī hī jiitā hai
zindagī bad-tar-az-mamāt hai ab
itne be-dīd be-shunīd hue
na tavajjoh na iltifāt hai ab
hijr kaisā visāl ho bil-farz
kuchh hī sūrat ho mushkilāt hai ab
jī hī lenā ba-lutf hai manzūr
is qadar jo tafazzulāt hai ab
jiite jī to rahā visāl muhāl
mar chuke par tavaqquāt hai ab
kuchh na pūchho 'asar' kī bechainī
na sukūnat hai ne sabāt hai ab
Top Urdushayar.com