Meer Asar

dijiye ruKHsat-e-bosa nahin le baiThenge

Meer Asar

Delhi, India

-1795
dījiye ruḳhsat-e-bosa nahīñ le baiTheñge
pyāre ye yaad rahe jaan bhī de baiTheñge
pā-e-dīvār khaḌe rahne na diije behtar
aur haT kar tire kūcha meñ pare baiTheñge
be-sar-o-pā haiñ kahāñ jā.eñge juuñ naqsh-e-qadam
ḳhāk-e-pā ham tire qadmoñ hī tale baiTheñge
ātish-e-ishq tire soḳhtagāñ juuñ sho.ala
jab talak haiñ koī ārām liye baiTheñge
rū-ba-rū us ke 'asar' aap ba-īñ-zinda-dilī
kab talak dil ke ta.iiñ maare hue baiTheñge
Top Urdushayar.com