Meer Asar

bewafa tujhse kuchh gila hi nahin

Meer Asar

Delhi, India

-1795
bevafā tujh se kuchh gilā hī nahīñ
tū to goyā ki āshnā hī nahīñ
yā ḳhudā paas yā butāñ ke paas
dil kabhū apne haañ rahā hī nahīñ
dil se jo chāhiye so bāñdhiye baat
maiñ ne vallāh kuchh kahā hī nahīñ
tere kūcha se aah jaane ko
dil nahīñ yā ki apne pā hī nahīñ
yaañ taġhāful meñ apnā kaam huā
tere nazdīk ye jafā hī nahīñ
naame bulbul ne go hazār kiye
ek bhī gul ne par sunā hī nahīñ
kuchh na hotā 'asar' asar us ko
bhale ko naala tū kiyā hī nahīñ
Top Urdushayar.com