Meer Asar

jun gul tu hanse hai khil-khila kar

Meer Asar

Delhi, India

-1795
juuñ gul tū hañse hai khil-khilā kar
shabnam kī tarah mujhe rulā kar
mehmān ho yā ki yaañ tū aa kar
yā rakh mujhe apne haañ bulā kar
dar par tere ham ne ḳhaak chhānī
naqd-e-dil ḳhaak meñ milā kar
mānūs na thā vo but kisū se
Tuk raam kiyā ḳhudā ḳhudā kar
kin ne kahā aur se na mil tū
par ham se bhī kabhū milā kar
go ziist se haiñ ham aap bezār
itnā pe na jaan se ḳhafā kar
kuchh be-asroñ ko bhī asar ho
itnī to bhalā 'asar' duā kar
Top Urdushayar.com