Meer Asar

tere aane ka ehtimal raha

Meer Asar

Delhi, India

-1795
tere aane kā ehtimāl rahā
marte marte yahī ḳhayāl rahā
ġham tirā dil se koī nikle hai
aah har-chand maiñ nikāl rahā
hijr ke haath se haiñ sab rote
yaañ hamesha kise visāl rahā
sham.a saañ jalte hilte kaaTī umr
jab talak sar rahā vabāl rahā
mil ga.e ḳhaak meñ hī tifl-e-sarishk
maiñ to ā.ankhoñ meñ garche paal rahā
samajhiye is qadar na kiije ġhurūr
koī bhī husn lā-zavāl rahā
tere dar se koī bhī Taltā huuñ
mujh ko har-chand tū to Taal rahā
dil na sambhlā agarche maiñ to use
apne maqdūr tak sambhāl rahā
phir na kahnā 'asar' na kuchh sunñā
koī din gar yūñhī jo haal rahā
Top Urdushayar.com