ham haiñ be-dil dil apne paas nahīñ
aah is kā bhī tujh ko paas nahīñ
bevafā kuchh nahīñ tirī taqsīr
mujh ko merī vafā hī raas nahīñ
qatl merā hai terī bad-nāmī
jaan kā varna kuchh hirās nahīñ
tū hī behtar hai ham se ā.īne
ham to itne bhī rū-shanās nahīñ
yuuñ ḳhudā kī ḳhudā.ī bar-haq hai
par 'asar' kī hameñ to aas nahīñ