Meer Asar

sarf-e-gham humne naujawani ki

Meer Asar

Delhi, India

-1795
sarf-e-ġham ham ne naujavānī kī
vaah kyā ḳhuub zindagānī kī
apnī biitī agar maiñ tujh se kahūñ
baat nibḌe na is kahānī kī
tere dāġhoñ kī ai ġham-e-ulfat
ḳhuub ham ne bhī bāġhbānī kī
juuñ nigah dil gayā hai ā.ankhoñ kī raah
garche ham ne nigāhbānī kī
kis ke haañ tum karam nahīñ karte
kabhū īdhar na mehrbānī kī
apne nazdīk dard-e-dil maiñ kahā
tere nazdīk qissa-ḳhvānī kī
harza-goī se mujh ko dī hai najāt
haigī minnat ye be-zabānī kī
nahīñ tāqat ki dam nikāl sakūñ
ab ye naubat hai nā-tavānī kī
'asar' is haal pe bhī jiitā hai
kyā kahūñ us kī saḳht-jānī kī
Top Urdushayar.com