Meer Asar

na barq na shoala ne sharar hun

Meer Asar

Delhi, India

-1795
na barq na sho.ala ne sharar huuñ
jo kahiye so qissa muḳhtasar huuñ
juuñ aks merā kahāñ Thikānā
tere jalve se jalva-gar huuñ
ai naqsh-e-qadam rah-e-fanā meñ
maiñ tujh se Tuk ek peshtar huuñ
ye ḳhair hai ḳhair-e-mahz hai to
banda ganda jo maiñ bashar huuñ
ma.alūm huī na kuchh haqīqat
maiñ kyā huuñ kaun huuñ kidhar huuñ
ai umr-e-ba-bād-e-rafta le chal
maiñ bhī tere hī ham-safar huuñ
juuñ sho.ala miyān-e-be-qarārī
qaa.em apne qarār par huuñ
huuñ nāla-e-nā-rasā va-lekin
apne haq meñ to kārgar huuñ
aate haiñ nazar sabhī hunar-mand
maiñ hī ek saaf be-hunar huuñ
huuñ tīr-e-balā kā maiñ nishānā
shamshīr-e-jafā kā maiñ sipar huuñ
lenā mirī ḳhair-ḳhabar to ḳhair dilā
ġhāfil huuñ nipaT hī be-ḳhabar huuñ
bhūle bhī kabhū na yaad karnā
bār-e-ḳhātir maiñ is qadar huuñ
huuñ laġhv maiñ aap apnī zātoñ
auroñ kā naf.a ne zarar huuñ
tere dāman se lag rahā huuñ
apnī tar-dāmanī se tar huuñ
dard kī zāt-e-pāk kā hai
go ain nahīñ vale 'asar' huuñ
Top Urdushayar.com