dekh kar dil ko pech-o-tāb ke biich
aa paḌā muft maiñ azaab ke biich
kaun rahtā hai tere ġham ke sivā
is dil-e-ḳhānumāñ-ḳharāb ke biich
tere ātish-zadoñ ne misl-sharār
umr kaaTī hai iztirāb ke biich
kyā kahūñ tujh se ab ke maiñ tujh ko
kis tarah dekhtā huuñ ḳhvāb ke biich
sham.a fānūs meñ na jab ke chhupe
kab chhupe hai ye muñh naqāb ke biich
Tuk tabassum ne kī shakar-rezī
baare ab talḳhī-e-itāb ke biich
kyā kahe vo ki sab huvaidā hai
shaan terī tirī kitāb ke biich
hai ġhulāmī 'asar' ko hazrat-e-'dard'
ba-dil-o-jāñ tirī janāb ke biich