dil meñ sau ārmān rakhtā huuñ
pyāre āḳhir maiñ jaan rakhtā huuñ
vāh-rī aql tujh se dushman se
dostī kā gumān rakhtā huuñ
sabr chhuT dil sab aur bātoñ maiñ
qābil-e-imtihān rakhtā huuñ
aah tere bhī dhyān meñ kuchh hai
kis qadar terā dhyān rakhtā huuñ
tujh se har baar mil ke maiñ be-sabr
na malūñ phir ye Thaan rakhtā huuñ
sirf maiñ to 'asar' bisān-e-jaras
āh-o-nāla bayān rakhtā huuñ