ġham ko bāham baham na kiije
gar ġham hai to ġham kā ġham na kiije
yak nīm-nigah hai so bhī kaarī
kuchh is meñ se to kam na kiije
go ham haiñ āshiq-e-vafādār
par itnā bhī sitam na kiije
be-fā.eda roiye kahāñ tak
ab jī meñ hai chashm nam na kiije
ġhairoñ ke paḌhāne ko merā vasf
is taur se ye karam na kiije
go teġh-e-asīl haiñ ye abrū
har dam itnā bhī ḳham na kiije
gar jām-e-mai 'asar' lage haath
phir ḳhvāhish-e-jām-e-jam na kiije