Akhtar Hoshiyarpuri

chehre ke KHadd-o-Khaal mein aaine jaDe hain

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
chehre ke ḳhadd-o-ḳhāl meñ ā.īne jaḌe haiñ
ham umr-e-gurezāñ ke muqābil meñ khaḌe haiñ
har saal nayā saal hai har saal gayā saal
ham uḌte hue lamhoñ kī chaukhaT pe paḌe haiñ
dekhā hai ye parchhā.īñ kī duniyā meñ ki aksar
apne qad-o-qāmat se bhī kuchh log baḌe haiñ
shāyad ki mile zaat ke zindāñ se rihā.ī
dīvār ko chāTā hai havāoñ se laḌe haiñ
uḌte haiñ parinde to yahāñ jhiil bhī hogī
taptā hai bayābān-e-badan kos kaḌe haiñ
shāyad koī īsā-nafas aa.e unheñ pūchhe
ye lafz jo be-jān se kāġhaz pe paḌe haiñ
is baat kā mafhūm maiñ samjhā nahīñ 'aḳhtar'
tasvīr meñ sāhil pe ka.ī kachche ghaḌe haiñ
Top Urdushayar.com