āshnā jo maza kā hotā hai
apne haq meñ vo kāñTe botā hai
shaiḳh-jī ek roz mujh ko 'asar'
lage kahne abas tū rotā hai
in butoñ ke liye ḳhudā na kare
dīn-o-dil yuuñ koī bhī khotā hai
na tujhe din ko chain hai ik aan
ek dam raat ko na sotā hai
maiñ kahā ḳhuub sun ke ai nādāñ
jā mashīḳhat ko kyuuñ Dubotā hai
tū hai mullāñ tirī balā jaane
āshiqī meñ jo kuchh ki hotā hai