kabhū ham se bhī vafā kījiyegā
yā yahī jaur-o-jafā kījiyegā
dekheñ dushnām kahāñ tak doge
dam meñ sau baar duā kījiyegā
nazar aatā hai girah zulf se khol
har taraf fitna bapā kījiyegā
jān-o-dil se bhī guzar jā.eñge
agar aisā hī ḳhafā kījiyegā
kī hai bande ke liye ye be-dād
rahm Tuk bahr-e-ḳhudā kījiyegā
ishq ke sadqe uThātā thā dil
ab to vo bhī nahīñ kyā kījiyegā
ab to Tuk merā kahā kījiye phir
chāhiyegā so kahā kījiyegā
go use ahl-e-vafā se hai ḳhilāf
ab 'asar' tū bhī vafā kījiyegā