dard kī daulat-e-nāyāb ko rusvā na karo
vo nazar raaz hai us raaz kā charchā na karo
vus.at-e-dasht meñ dīvāne bhaTak jaate haiñ
dosto āhu-e-ram-ḳhurda kā pīchhā na karo
tum muqaddar kā sitāra ho mire paas raho
tum jabīn-e-shab-e-namnāk pe ubhrā na karo
pas-e-dīvār bhī dīvār kā aalam hogā
tum yūñhī rauzan-e-dīvār se jhāñkā na karo
ghar palaT aane meñ āfiyat-e-jāñ hai yaaro
jab havā tez chale raah meñ Thahrā na karo
yā dil-o-dīda ko tanvīr-e-mohabbat baḳhsho
yā dam-e-sub.h zamāne meñ ujālā na karo
ye jahān-e-guzarāñ haath kise aayā hai
pīchhe muḌ muḌ ke kisī shaḳhs ko dekhā na karo
bhāgte lamhe ko kab rok sakā hai koī
vo to ik saaya hai saa.e kī tamannā na karo
sar salāmat nahīñ rahte haiñ zabāñ kaTtī hai
pattharoñ ko kabhī bhūle se bhī sajda na karo
pyaas bujhtī hai kahāñ tapte bayābānoñ kī
mirī āñkhoñ mirī āñkho yūñhī barsā na karo
ziist hai tez-qadam aage nikal jā.egī
tum kisī moḌ pe rukne kā irāda na karo
kuchh idhar saa.e haiñ jo baḌh ke lipaT jaate haiñ
'aḳhtar' is raah se ho kar kabhī guzrā na karo