tabassum lab par āñkhoñ meñ namī hai
ḳhudā jaane ye ġham hai yā ḳhushī hai
jo manzil aaj ahl-e-hosh kī hai
vo dīvānoñ kī Thukrā.ī huī hai
kahāñ jaa.e thakā-māñda musāfir
tū hī saaya tū hī dīvār bhī hai
hazāroñ haiñ sukūn-e-dil ke sāmāñ
ye duniyā phir bhī ghabrā.ī huī hai
añdhere chhū nahīñ sakte haiñ mujh ko
ki mere saath terī raushnī hai
zabāñ kah de to ik hañgāma ho jaa.e
nazar ma.alūm kyā kyā dekhtī hai
na jaane kab tirā dāman chhuā thā
magar hāthoñ meñ ab tak thartharī hai
vo begāna hai utnā zindagī se
jaise jitnā shu.ūr zindagī hai
jafāoñ ne hazāroñ rañg badle
vafā apnī jagah par aaj bhī hai
chalo ai zimma-dārān-e-mohabbat
farāz-e-dār par phir raushnī hai
mire simTe hue dāman ko 'shārib'
baḌī hairat se duniyā dekhtī hai