Sharib Lakhnavi

hamare azm-e-safar ke aage sawal-e-lail-o-nahaar kya hai

Sharib Lakhnavi

hamāre azm-e-safar ke aage savāl-e-lail-o-nahār kyā hai
ġham-e-mohabbat uThā liyā hai to gardish-e-rozgār kyā hai
umīd-e-fardā pe jiine vaalo hayāt kā e'tibār kyā hai
uTho ki manzil bulā rahī hai chalo ki ab intizār kyā hai
bikharte phūloñ na ham se pūchho hameñ to ab yaad hī nahīñ hai
chalo ye ahl-e-chaman se pūchheñ sukūn kyā hai qarār kyā hai
mirī nigāhoñ meñ phir rahā hai tirā takallum tirā tabassum
mirī nigāhoñ se koī pūchhe ye phuul kyā hai bahār kyā hai
nazar se dāman bachā bachā ke maiñ dil ko aarif banā rahā huuñ
tumhāre jalvoñ kī manziloñ meñ nigāh kā e'tibār kyā hai
bahār-e-gul meñ qadam qadam par shu.ūr-e-kāmil kī hai zarūrat
bahār un ke liye ḳhizāñ hai jo ye na samjhe bahār kyā hai
Top Urdushayar.com