Sharib Lakhnavi

mujhe utni hi qadr-e-zindagani hoti jati hai

Sharib Lakhnavi

mujhe utnī hī qadr-e-zindagānī hotī jaatī hai
kisī kī jitnī mujh par mehrbānī hotī jaatī hai
ḳhudā ma.alūm ye kaisā zamāna aatā jaatā hai
ki har har saañs ab to imtihānī hotī jaatī hai
mohabbat karne vaalā sū-e-manzil baḌhtā jaatā hai
jo mushkil aatī jaatī hai vo paanī hotī jaatī hai
jidhar jaao musībat hai jidhar dekho musībat hai
musībat ab to juzv-e-zindagānī hotī jaatī hai
ḳhudā kā shukr dil rāh-e-vafā meñ miTtā jaatā hai
jo faanī chiiz hai vo jāvedānī hotī jaatī hai
ham apnā daur-e-māzī bhūlte jaate haiñ ai 'shārib'
qayāmat hai haqīqat bhī kahānī hotī jaatī hai
Top Urdushayar.com