Sharib Lakhnavi

kab mere waste koi mushkil nahin rahi

Sharib Lakhnavi

kab mere vāste koī mushkil nahīñ rahī
kab maut zindagī ke muqābil nahīñ rahī
duniyā kī dostī kā to kyā zikr kījiye
duniyā to dushmanī ke bhī qābil nahīñ rahī
yuuñ merī zindagī hai har ik shai se duur duur
jaise ye kā.enāt meñ shāmil nahīñ rahī
tasvīr-e-inqilāb banā jā rahā huuñ maiñ
ab merī mustaqil koī manzil nahīñ rahī
iz.hār-e-be-vafā-e-duniyā na kījiye
duniyā kisī ke dard meñ shāmil nahīñ rahī
naqshe badal chuke haiñ nizām-e-hayāt ke
kashtī-e-zīst tālib-e-sāhil nahīñ rahī
aayā har ek gaam pe ik inqalāb-e-nau
insāñ kī mustaqil koī manzil nahīñ rahī
ḳhud mushkiloñ ko jis ne gale se lagā liyā
phir us ke vāste koī mushkil nahīñ rahī
'shārib' ye kyā huā ki har ik shai hai ajnabī
vo ham nahīñ rahe ki vo mahfil nahīñ rahī
Top Urdushayar.com