Sharib Lakhnavi

KHulus-e-sajda har ek haal mein muqaddam hai

Sharib Lakhnavi

ḳhulūs-e-sajda har ik haal meñ muqaddam hai
vahīñ pe dil bhī jhukā de jahāñ jabīñ ḳham hai
hazār jalvoñ se pur-nūr bazm-e-ālam hai
magar charāġh-e-mohabbat kī raushnī kam hai
hamāre hāl-e-pareshāñ pe muskurā denā
baḌā latīf ye andāz-e-pursish-e-ġham hai
hayāt-e-ishq umīdoñ pe kāTne vaalo
ḳhabar bhī hai ki umīdoñ kī zindagī kam hai
qafas meñ the to chaman ke liye taḌapte the
chaman meñ aa.e to ahl-e-chaman kā mātam hai
bashar ke dar pe jabīn-e-bashar kā jhuk jaanā
qasam ḳhudā kī ye tauhīn-e-ibn-e-ādam hai
vo dil churā ke nigāhoñ se chhup ga.e 'shārib'
nigāh-o-dil se magar fāsla bahut kam hai
Top Urdushayar.com