mohabbat haT rahī hai darmiyāñ se
zamīñ Takrā na jaa.e āsmāñ se
vo manzil saḳht hai har imtihāñ se
mohabbat ruḳh badaltī hai jahāñ se
hazāroñ māh-o-anjum haiñ tah-e-ḳhāk
zamīñ kuchh kam nahīñ hai āsmāñ se
munavvar haiñ abhī tak vo maqāmāt
maiñ tere saath guzrā huuñ jahāñ se
zamīñ kī pastiyoñ meñ kho ga.e haiñ
zamīñ Takrāne vaale āsmāñ se
mirī āñkhoñ meñ aañsū to bahut haiñ
magar dāman tirā lā.ūñ kahāñ se
zamīñ kī ḳhaak tak de dī zamīñ ko
maiñ dāman jhaaḌ ke uTThā jahāñ se
maqām-e-āshiyāñ kī justujū meñ
guzar jā bijliyoñ ke darmiyāñ se
musalsal imtihāñ hai zindagānī
kahīñ ghabrā na jaanā imtihāñ se
banānā hai mujhe ḳhud apnī manzil
alag huuñ naqsh-pā-e-kārvāñ se
vahī duniyā ulaT dete haiñ 'shārib'
jo aksar kuchh nahīñ kahte zabāñ se