tāroñ meñ chhup ga.e ki guloñ meñ nihāñ rahe
merī nazar ne DhūñDh liyā tum jahāñ rahe
guzre hue zamāne kā kuchh to nishāñ rahe
gar āshiyāñ nahīñ to ġham-e-āshiyāñ rahe
ye aur baat hai ki nazar se nihāñ rahe
lekin vo saath saath rahe ham jahāñ rahe
us ko kisī maqām pe mahdūd kyuuñ karo
kaun-o-makāñ banā ke bhī jo lā-makāñ rahe
ik naqsh-e-mustaqil vo zamāne meñ bin ga.e
jo be-niyāz-e-ḳhvāhish-e-nām-o-nishāñ rahe
kyuuñ kar yaqīñ kareñ ki jahāñ meñ ḳhushī bhī hai
ham ko to ġham ne gher liyā ham jahāñ rahe
nām-o-nishāñ ke vāste martā hai kyuuñ bashar
jo sāhab-e-nishāñ the kab un ke nishāñ rahe
kahtā hai ye guloñ kā tabassum bahut samajh
duniyā meñ do-ghaḌī bhī agar shādmāñ rahe
'shārib' jamāl-e-dost kā parda to rah gayā
achchhā huā hijāb-e-nazar darmiyāñ rahe