gulshan meñ baḌe zor kā tūfān uThā hai
jab bhī koī phūloñ kā nigahbān uThā hai
duniyā ke badalne kā farishte nahīñ aa.e
jab jab bhī uThā hai koī insān uThā hai
siine ke liye dāman-e-gul fasl-e-ḳhizāñ meñ
har baar koī chāk-garebāñ uThā hai
maiñ is ke sivā kuchh nahīñ kahtā mire saaqī
'shārib' tirī mahfil se pashemān uThā hai