Sharib Lakhnavi

bana ke ek nai manzil guzar gae hote

Sharib Lakhnavi

banā ke ik na.ī manzil guzar ga.e hote
jidhar koī nahīñ jaatā udhar ga.e hote
pa.e sukūñ na agar ham Thahar ga.e hote
to aaj tā-had-e-shams-o-qamar ga.e hote
ġham-e-hayāt se ham bhī jo Dar ga.e hote
to qaid-e-zīst meñ rah ke bhī mar ga.e hote
jo mai-kade meñ zarā tum Thahar ga.e hote
nazar ke zor se paimāne bhar ga.e hote
na lafz gul ko samajhte na ḳhaar ke ma.anī
bachā bachā ke jo dāman guzar ga.e hote
maiñ bevafā huuñ to vo kyuuñ nazar churā ke ga.e
zarā milā ke nazar se nazar ga.e hote
nasīm-e-sub.h ke jhoñke mirī taraf kyuuñ aa.e
jahāñ bahār hai gul haiñ udhar ga.e hote
batātā kaun nasheb-o-farāz-e-rāh-e-hayāt
jo sab kī tarah se ham bhī guzar ga.e hote
bahāna chāhiye gulshan meñ Darne vāloñ ko
na ḳhaar hote to phūloñ se Dar ga.e hote
maiñ aur kuchh nahīñ kahtā magar chaman vaalo
bahār aatī to gulshan sañvar ga.e hote
jo ittihād kī manzil pe hote ham 'shārib'
taġhayyurāt ke chehre utar ga.e hote
Top Urdushayar.com