Sharib Lakhnavi

koi kafir hamein samjhe ki musalman samjhe

Sharib Lakhnavi

koī kāfir hameñ samjhe ki musalmāñ samjhe
ham to ai ishq tujhe hāsil-e-īmāñ samjhe
lākhoñ masle hue ġhunche nahīñ dekhe ham ne
chand hañste hue phūloñ ko gulistāñ samjhe
ḳhud-ba-ḳhud vaqt pe ho jaate haiñ sāmāñ kyūñkar
kuchh jo samjhe to hameñ be-sar-o-sāmāñ samjhe
dāvat-e-ām hai ik rāh-e-vafā hai maiñ huuñ
vo mire saath chalā aa.e jo āsāñ samjhe
bāġhbāñ kī mire sāhab-nazarī kyā kahnā
phuul gulshan pe hañse aap bahārāñ samjhe
hañs ke mil lete haiñ ahbāb yahī kaafī hai
kis ko fursat ki kisī kā ġham-e-pinhāñ samjhe
ġhuncha-o-gul ke tabassum kī haqīqat kyā hai
pahle kāñToñ se guzar jaa.e to insāñ samjhe
vo zamāne meñ ḳhushī pā nahīñ sakte 'shārib'
āñsuoñ ko jo ilāj-e-ġham-e-daurāñ samjhe
Top Urdushayar.com