Sharib Lakhnavi

duniya-e-sitam zer-o-zabar ho ke rahegi

Sharib Lakhnavi

duniyā-e-sitam zer-o-zabar ho ke rahegī
jab raat huī hai to sahar ho ke rahegī
talvār se jaage ki nasīm-e-saharī se
hushiyār magar rūh-e-bashar ho ke rahegī
ban jā.eñge gul raah meñ bikhre hue kāñTe
himmat hai to takmīl-e-safar ho ke rahegī
ye husn-e-tasavvur mujhe marne nahīñ detā
ik din mirī jānib vo nazar ho ke rahegī
tum ḳhūn-e-tamannā ko mire laakh chhupāo
ik roz zamāne ko ḳhabar ho ke rahegī
ye baat alag hai ki sahar tak na raheñ ham
lekin ye yaqīñ hai ki sahar ho ke rahegī
'shārib' maiñ chhupūñ laakh zamāne kī nazar se
lekin ḳhabar-e-aib-o-hunar ho ke rahegī
Top Urdushayar.com