zikr-e-bahār bhī rahā zikr-e-ḳhizāñ ke saath
terī bhī dāstāñ hai mirī dāstāñ ke saath
un kā bhī kuchh ḳhayāl rahe ahl-e-kārvāñ
jo aa rahe haiñ gard-e-rah-e-kārvāñ ke saath
us vaqt rañg lā.egā afsāna-e-vafā
dil kā lahū jab aa.egā ashk-e-ravāñ ke saath
har chiiz ajnabī sī hai har shaḳhs ġhair hai
duniyā badal ga.ī nigah-e-mehrbāñ ke saath
'shārib' ye jāntā huuñ ki duniyā hai bevafā
chalnā paḌegā phir bhī isī kārvāñ ke saath