Sharib Lakhnavi

hum pe rakhe gae ilzam na jaane kya kya

Sharib Lakhnavi

ham pe rakhe ga.e ilzām na jaane kyā kyā

ban ga.e ek mohabbat ke fasāne kyā kyā

manzil-e-dār-o-rasan qaid-e-sitam dasht-e-balā

paa.e haiñ ahl-e-mohabbat ne Thikāne kyā kyā

koī andāz-e-nadāmat koī naala koī ashk

DhūñDe haiñ chashm-e-karam ne bahāne kyā kyā

kabhī āñdhī kabhī tūfāñ kabhī sho.ale kabhī barq

mere gulshan pe bhī guzre haiñ zamāne kyā kyā

daulat sabr-o-sukūñ gauhar-e-ashk-e-rañgīñ

ham ne ġhurbat meñ luTā.e ḳhazāne kyā kyā

nazar-e-ahl-e-mohabbat samajh saktī hai

lab-e-ḳhāmosh pe hote haiñ fasāne kyā kyā

ab mire sāmne jab koī gale miltā hai

khiñch ke aa jaate haiñ āñkhoñ meñ zamāne kyā kiyā

kabhī kaliyoñ tabassum kabhī tāroñ chamak

dil taḌapne ke bhī hote haiñ bahāne kyā kyā

kabhī halkā tabassum kabhī chīñpī nazar

ham se pūchho ki lage dil pe nishāne kyā kyā

ham ḳhatā-kār-e-mohabbat haiñ ye ham se pūchho

husn-e-ma.asūm ko aate haiñ bahāne kyā kyā

an-ginat roz ḳhayāloñ ke mahal bante haiñ

sochtā hai dil-e-betāb na jaane kyā kyā

koī 'shārib' koī 'mullā' koī 'ġhālib' koī 'mīr'

manzil-e-ishq se guzre haiñ divāne kyā kyā

Top Urdushayar.com