ḳhud-baḳhud ālam-e-dil zer-o-zabar hotā hai
nīchī nazroñ meñ qayāmat kā asar hotā hai
diid kyā chiiz hai jalvoñ meñ nazar kho jaanā
varna jalva kahīñ pāband-e-nazar hotā hai
ahl-e-himmat ke qadam is se alag uThte haiñ
ruḳh zamāne kī havāoñ kā jidhar hotā hai
terī duniyā meñ kahīñ par bhī karūñ maiñ sajda
terā jalva to mire pesh-e-nazar hotā hai
shart hai dard meñ Duubā huā afsāna ho
dil to kyā chiiz hai patthar pe asar hotā hai
jab uThātā huuñ qadam rāh-e-adab meñ 'shārib'
mere hamrāh mirā zauq-e-nazar hotā hai