Akhtar Hoshiyarpuri

honTon pe qarz-e-harf-e-wafa umr bhar raha

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
hoñToñ pe qarz-e-harf-e-vafā umr bhar rahā
maqrūz thā so chup kī sadā umr bhar rahā
kuchh darguzar kī un ko bhī aadat na thī kabhī
kuchh maiñ bhī apnī zid pe uḌā umr bhar rahā
vo tajrabe hue ki mire ḳhuuñ kī ḳhair ho
yaaro maiñ apne ghar se judā umr bhar rahā
mausam kā habs shab kī siyāhī fasīl-e-shahr
mujrim thā sar jhukā.e khaḌā umr bhar rahā
sub.h o masā kī gardish-e-paiham ke bāvajūd
maiñ darmiyān-e-sub.h-o-masā umr bhar rahā
in bārishoñ meñ kaun bahe ḳhār-o-ḳhas ke saath
sūraj kī le ke sar pe ridā umr bhar rahā
hāthoñ se oT kī to sabhī uñgliyāñ jalīñ
phir bhī havā kī zad pe diyā umr bhar rahā
ik ḳhuun kī ḳhalīj mire sāmne rahī
aur mere pīchhe saaya mirā umr bhar rahā
'aḳhtar' ye jañgaloñ meñ usī ke nishān haiñ
jo ḳhaar ḳhaar ābla-pā umr bhar rahā
Top Urdushayar.com