Sharib Lakhnavi

agar in bazuon mein dam nahin hai

Sharib Lakhnavi

agar in bāzūoñ meñ dam nahīñ hai
to gulshan bhī qafas se kam nahīñ hai
mire sāz-e-junūñ ke chheḌne ko
kalī kā ik tabassum kam nahīñ hai
mujhe duniyā mire aalam meñ dekhe
har-ik aalam mirā aalam nahīñ hai
na de mujh ko fareb-e-ishq duniyā
fareb-e-zindagī kuchh kam nahīñ hai
ġham-e-tauhīn-e-mai-ḳhāna hai 'shārib'
mujhe tishna-labī kā ġham nahīñ hai
Top Urdushayar.com