ye zindagī to bahut kam hai dostī ke liye
kahāñ se vaqt nikaltā hai dushmanī ke liye
ye aatī jaatī huī saañs zindagī ke liye
ik imtihān-e-musalsal hai aadmī ke liye
ye ahd-e-nau kā añdherā are ma.āz-allāh
taras rahe haiñ charāġh apnī raushnī ke liye
unheñ guloñ kā tabassum to dekh lene do
tamām-umr jo tarsā kiye hañsī ke liye
ye ahl-e-hosh mire rāste se haT jaa.eñ
bahut hai merā junūñ merī rahbarī ke liye
koī ruke ki chale gir paḌe ki thak jaa.e
guzartā vaqt Thahartā nahīñ kisī ke liye
kise ḳhabar thī ki jal jā.egā chaman 'shārib'
charāġh ham ne jalā.e the raushnī ke liye