tafakkurāt-e-zamāna se ho ke begāne
ye kis ḳhayāl meñ uljhe hue haiñ dīvāne
har ek hañstā hai lekin ye koī kyā jaane
ye ban ga.e ki banā.e ga.e haiñ dīvāne
nigāh-e-ishq meñ shāh-o-gadā barābar haiñ
nigāh-e-ishq koī imtiyāz kyā jaane
kisī ke uThne se suunī na hogī bazm koī
bahār-e-sham.a salāmat hazār parvāne
vahī jahāñ ke nasheb-o-farāz ko samjhe
chale jo rāh-e-mohabbat kī Thokareñ khāne
yahāñ ḳhushī to nahīñ hai magar pa.e taskīñ
ġhamoñ kā naam ḳhushī rakh liyā hai duniyā ne
ye jāntā huuñ ki tai kar rahā huuñ rāh-e-hayāt
kahāñ pe hai mirī manzil use ḳhudā jaane
fanā hai sab ko in ābādiyoñ pe naaz na kar
zabān-e-hāl se ye kah rahe haiñ parvāne
jo apne haath se koī pilā de ai 'shārib'
us ek jaam pe sadqe hazār paimāne