Sharib Lakhnavi

ek qayamat hai jawani ek qayamat hai shabab

Sharib Lakhnavi

ik qayāmat hai javānī ik qayāmat hai shabāb
har tabassum ek tūfāñ har nazar ik inqalāb
har taraf ek āh-o-zārī har taraf ek iztirāb
kitnī sauġhāteñ liye aayā hai daur-e-inqilāb
sāġhar-o-mīnā paTak de toḌ de chañg-o-rubāb
dekh sar par aa chukā hai āftāb-e-inqalāb
ishq ke dastūr duniyā se alag dastūr haiñ
is kī gumnāmī meñ shohrat is kī ḳhāmoshī javāb
ai mirī nazroñ kī jannat kyā tujhe ma.alūm hai
kis ke sadqe ho rahe haiñ āftab-o-māhtāb
maiñ to kahtā huuñ ḳhudā kā shukr karnā chāhiye
jaan de kar bhī jo ho jaa.e mohabbat kāmyāb
ai dil-e-ġham-āshnā ab to vo ham se chhuT ga.e
aur kyā is se ziyāda hogā koī inqalāb
un se bāteñ kar rahā huuñ vo khaḌe haiñ sāmne
jāgtā rahtā huuñ lekin dekhtā rahtā huuñ ḳhvāb
bandisheñ donoñ taraf pābandiyāñ donoñ taraf
ek pāband-e-mohabbat ek pāband-e-hijāb
mujh ko ai 'shārib' fishār-e-qabr kā kyā ḳhauf ho
maiñ ġhulām-e-shāh-e-yasrib maiñ ġhulām-e-bū-turāb
Top Urdushayar.com