Sharib Lakhnavi

mushkil ye imtiyaz teri rahguzar mein hai

Sharib Lakhnavi

mushkil ye imtiyāz tirī rāhguzar meñ hai
manzil safar meñ hai ki musāfir safar meñ hai
huuñ muztarib magar tirī sūrat nazar meñ hai
pahlū bhī ik sukūn kā dard-e-jigar meñ hai
thoḌī sī ḳhaak maiñ ne uThā lī zamīn se
ab saarī zindagī kā ḳhulāsa nazar meñ hai
ai āftāb-e-sub.h idhar bhī koī kiran
muddat se ik ġharīb umīd-e-sahar meñ hai
pūchho na ek ek se mere junūñ kā raaz
mere junūñ kā raaz tumhārī nazar meñ hai
ka.abe ko māntā huuñ magar is yaqīñ ke saath
ka.aba bhī ik maqām tirī rahguzar meñ hai
maanā ki sab ne aap ko dekhā hai shauq se
pahchānñe ḳhulūs-e-nazar kis nazar meñ hai
fasl-e-bahār aa.ī hai kaise yaqīñ kareñ
'shārib' hai jis kā naam vo dīvāna ghar meñ hai
Top Urdushayar.com