zabt se yuuñ bhī kaam liyā hai
kāñToñ meñ ārām liyā hai
chāhe jidhar le jaa.e mohabbat
ab to dāman thaam liyā hai
kaash vahī ārām se rahtā
jis ne mirā ārām liyā hai
husn ne jab Thokar khaa.ī hai
ishq ne baazū thaam liyā hai
saaqī kā ehsāñ nahīñ ham par
ḳhuun diyā hai jaam liyā hai
Thokar khaa.ī baḌh ga.e aage
nākāmī se kaam liyā hai
husn-e-butāñ ko dekh ke 'shārib'
ham ne ḳhudā kā naam liyā hai