Sharib Lakhnavi

gham uThate hain wahi aksar KHushi pane ke baad

Sharib Lakhnavi

ġham uThāte haiñ vahī aksar ḳhushī paane ke ba.ad
jo ḳhizāñ ko bhuul jaate haiñ bahār aane ke ba.ad
zindagī yuuñ kaT rahī hai un ke Thukrāne ke ba.ad
jaise ik mahfil kī hālat sham.a bujh jaane ke ba.ad
ahl-e-kashtī tum ko ye har mauj detī hai payām
pāoge sāhil magar tūfāñ se Takrāne ke ba.ad
jo bhī pyāsā aa.e us kī pyaas bujhnā chāhiye
bandisheñ kaisī dar-e-mai-ḳhāna khul jaane ke ba.ad
jaise ham daur-e-jahālat se bhī pīchhe haT ga.e
aisī bāteñ kar rahe haiñ hosh meñ aane ke ba.ad
hoshiyār ai qāfile vaalo ki aksar qāfile
luT ga.e haiñ sarhad-e-manzil pe aa jaane ke ba.ad
ai falak ham bhūlte jaate haiñ andāz-e-ḳhalīl
ham pe añgāre bhī barsā phuul barsāne ke ba.ad
saḳht hotā hai shu.ūr-e-zindagī kā imtihāñ
inqalāb aane se pahle inqalāb aane ke ba.ad
inqilāb-e-vaqt ke sho.aloñ meñ baḌh ke kuud jā
zindagī miltī hai parvāne ko jal jaane ke ba.ad
haañ taḌapne kā bhī 'shārib' ik salīqa chāhiye
tau sahī duniyā na taḌpe ham ko taḌpāne ke ba.ad
Top Urdushayar.com