Makhdoom Munawwar

har shab ek hi KHwab se uljha rahta hun

Makhdoom Munawwar

har shab ek hī ḳhvāb se uljhā rahtā huuñ
maiñ dariyā huuñ phir bhī pyāsā rahtā huuñ
din kī fasl kaTe to shaam Dhale aksar
ḳhvāboñ kī dīvār se chipkā rahtā huuñ
havā kī zad pe maiñ ik aisā sūraj huuñ
shaam se hī raste pe rakkhā rahtā huuñ
chalte chalte dariyā jab thak jaate haiñ
yaad ke gahre sāgar meñ Duubā rahtā huuñ
soch kī galiyoñ meñ āvāra phirtā huā
ghar ke darvāze par tanhā rahtā huuñ
shāyad koī mujhe jagāne aa jaa.e
is ḳhvāhish meñ pahroñ soyā rahtā huuñ
raushniyoñ kā ghar bhī nahīñ miltā 'maḳhdūm'
sūraj kā saayā huuñ bhāgā rahtā huuñ
Top Urdushayar.com